Introduction :-
Arduino uno r4 wifi arduino uno r3 se kaafi better hai kyuki isme aapko chipset, type-c port, clock-frequecy, memory
ye saari cheeje arduino uno r3 se upgrade version me hai jo ki apko project banane me help karega.
Aur isme aapko do varient mil jayenge
Arduino Uno R4 WiFi :-
. Uno r4 wifi me aapko kuch naya milega kyuki isme aapko led milegi :
12×8 LED matrix ispe aapko dekhne ko mil jayega aur to aur isme aapko memory aur clock speed aur bhi
fast kar diya gaya hai jisse aapko ab project banane me aur aashani hogi.
. Board pe aapko kuch naya dekhne ko milega :
Ab aapko board pe LED ke sath aur bhi nayi cheej dikhegi 12-bit DAC, CAN BUS, and OP AMP isse aapke board pe capabilities and design flexibility aa jayegi jisse aapko aashani hogi.
. HID support :
Iss board me aapko “Human Interface Device.” mil jayega. iska mtlb ye hai ke aap isko apne
computer se connect karte hai to ye waise work karega jaise aapka mouse aur keyboard.
. Wifi aur bluetooth :
Agar aap apna project wireless karna chahte hai to Arduino Uno R4 ki help se kar skte hai.
. Runtime error :
R4 wifi me ek error ko catch karne wala instrument laga hai jisse aapke realtime me error ko turrant notice kar
leta hai.
Agar aap arduino uno r4 ko abhi bhi use kar rahe hai to ek baar aap isko bhi try karle,
kyuki isme sab cheeje advance ho gayi hai.
Purchase karne ke liye ish website pe ja sakte hai